Friday, December 7, 2012

Dharm to yahi hai ki apna karm kar aur yudd lad (hindi)...


Dharm to yahi hai ki apna karm kar aur yudd lad
Mein suna tu bada ran veer hai
to aa maidan mein yudh lad
Veer hai to batein na bana
Dharm to yahi hai ki apna karm kar aur yudd lad
Jo yudh ladta hai, whoi veer hota hai
Jo mitti mein apna rakt milata hai
wo hi bhumi ko uska samman dilata hai
Unka kya jo bas bahar kare chilate hai
Ye kar ye na kar khein kar apni durbalta darsahte hai
Dharm to yahi hai ki apna karm kar aur yudd lad
Paristithi ho kitni bhi visham,bas apna karm kar aur yudhh lad
jeet milege ya haar, is par tu man vichlit na kar
utha apna shatra, aur bas ek chitkaar kar
nischit hi vijay hogi teri, bas josh se ek hoonkar bhar
Dharm to yahi hai ki apna karm kar aur yudd lad
visleshak ki vidya to bas aab arth heen kar de
ripu ke hrday mein bas ek akshay bhay ko ropon kar de
ek prahar se karde use seesh ko tu  dhar se alag
Tark se nahi is traha apni veerta ka tu  praman rakh
Dharm to yahi hai ki apna karm kar aur yudd lad

No comments:

Post a Comment